Zikr e shab e firaaq say wehshat usey bhi thi
meri tarah kisi say mohabbat usey bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naey chehron ki deed ka
rasta badal k chalney ki aadat usay bhi thi
us raat dair tuk raha woh mehv e guftagoo
masroof main bhi kum tha faraghat usay bhi thi
mujh say bicharh k shehar men ghul mil gaya woh shakhs
halaan keh shehar bhar say adaawat usey bhi thi
woh mujh say barh k zabt ka aadi tha jee gaya
warna hur ik saans qayamat usey bhi thi
tanha hua safar main to mujh pay khula yeh bhaid
saaey say pyaar dhoop say nafrat usay bhi thi .
Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment