Barrii mudat k baad teri galli sey mera guzer hua
kuch bhoolay waadey kuch purani baatian yaad aa gaeen
Jo bund honton aur bolti aankhon sey tum ney kahin
phir sey tumahri un-kahi woh hakaayatain yaad aa gaaen
Nimaz k baad, merey liey uTThye tumharey haath
woh guzrey din aur woh muqadus sa'atain yaad aa gaeen
Mian khud-dari k haathon her baazi haar chuka to
tumhari roti aankhon ki woh shikaayatian yaad aa gaeen
Geelay baalon sey tupk-ta paani aankh sey girtey aansoo
tum ney ro k jo guzaariin woh barsaatian yaad aa gaeen
Ajnabi muhabbat sirf aik baar dastak deti hai
tum ney ro k jo kiin, woh wazahatian yaad aa gaeen
Barrii mudat k baad teri galli sey mera guzer hua
kuch bhoolay waadey kuch purani baatian yaad aa gaeen
No comments:
Post a Comment