Sunday, 24 March 2013

Kar Rahay Qarya Qarya Zindagi Ki Justaju, Main Aur Too



Kar Rahay Qarya Qarya Zindagi Ki Justaju, Main Aur Too
Ho Gaye Awaargi K Naam Par Bay Aabro,Main Aur Too

Thay Jahan Rasmon Rawajon K Andheron Par Fida,Ab Us Jagah
Maazrat Ban Kar Kharray Hain Roshni K Roo,Baro,Main Aur Too

Kuch Dino Say Main Teri Aur To Meri Mehmaan Hay,Kaya Shaan Hay
Ban Chukay Hain Aks-e-Jaan Ek Dosray Ka Hu,Bahu Main Aur Too

Aaj Ki Sari Baharain Aaj Ki Har Ek Khazaan,Na Meharbaan
Rutt Nayi Kab Aaye Gi Kab Houn Gay aakhir Surkharu,Main Aur Too

Kal Bhi Apni Zaat Men Ham Sarmad-o-Mansoor Thay,Masroor Thay
Kar Rahay Hain Aaj Bhi Zauq-e-Anaa Ki Aarzoo,Main Aur Too

Yeh Zarori To Nahin Harf-o-Sada Pur Zor Ho,Ek Shaur Ho
Band Hounton Say Bhi Kartay Aa Rahay Hain Guftagu,Main Aur Too

Is Gulistaan Men Qateel Ab Naghmagi K Raazdaan,Houn Gay Kahan
Do Hi Reh Jaayen Gay Baaqi Taayeraan-e-Khush Guloo,Main Aur Too

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets