Udas Lamho ,Ujaar Rutto.
Meray Takhayul say Door Bhaago
Yeh Neend Mujh sey bey-zaar hay Kyun
Iss Dukh ko Mujh sey hi payar hai Kyun
Yeh Log jo Meray Raah-baar Hain
Yeh Meri Sochon sey bey-khabar Hain
Yeh Mujh sey Kehtay Hain
Titliyon per
Jugnuon par
kitaab Likhoon
Keh Chahton ka Nisaab Likhon
Inhain main Kaisay Bataaun keh abb
Bahaar Mousam Guzar Chukay Hain
Udaas Bey-kal Khizan ka Mousam
Humaray Dil men Utar Chuka Hai
Humaray Qehqahon ka,Khushbuon ka
Wo Dour Kab ka Guzar Chuka Hai
Ab to Jeena Wabaal Apna
Na Roop-o-rang-o-jamal Apna
Tha jis ko Thora Khayal Apna
Wo Shakhas kab ka Bichar Chuka Hai
No comments:
Post a Comment