Tuesday 5 March 2013

Ghayal hain hum bhi Sokhta Samaan tum bhi ho



Hum bhi shikasta dil hain pareshan tum bhi ho
Andar sey reza reza meri jaan tum bhi ho

Hum bhi hain aik ujrey huye shehar ki tarah
Aankhen bata rahi hain keh veeran tum bhi ho

paish hai hamen bhi karrii dhoop ka safar
Saaye ki aarzoo men pareshaan tum bhi ho

Hum bhi khizan ki shaam ka aangan hain Be'chiraagh
Bailen hain jiski zard wo dalaan tum bhi ho

Jaisey kissi khayal ka saya hain do wajood
Hum agar qayaas hain imkaan tum bhi ho

Mil jaayen hum to kaisa suhana safar kattey
Ghayal hain hum bhi Sokhta Samaan tum bhi ho

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets